Janab Yawar Sahib

Akbar tere seene se sina kaise nikaloon
Bas itna bata de ke jigar kaise sambhalooN
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Kahti hai mere Laal meri Maamta mujhse
Iss dard ko tere main kalaje me chhupa loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Gar ho na aziyaat jo tere zakhm e jigar mein
Eik baar mere laal gale tujhko laga loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Ai karbobala to hi bata de koi rasta
Main maut se kaise Ali Akbar ko bacha loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Kuch der taher ja mere Bachche tu jahan mein
Zakhmi tera seena tere Dada ko dikha loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Ai waqt qaza de dein itni mujhe mauhlat
Main apne jawan Laal ko dhoola to bana loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Khultin nahin aakhen, yeh nahin bolta mujhse
Is neend se kaise Ali Akbar ko jaga loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Bosa liya peshaanie Akbar ka yeh kah kar
Bahtey huey ashkon ka main sehra toh saja loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Baithey thay zameen par yehi kahte hue Sarwar
Ab dil ki tamanna ke charagoon ko bujha loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Iss Baap ki himmat ko zara de de sahara
Maqtal ki zameen se maiN tere laash utha loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Jab uth na saki laash toh Shabbir ne soocha
Bachchon ko madad ke liye khaime se bula loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Masroof e aza hote hi dil kahta hai Yawar*
AasooN Ali Akbar ki musibat par baha loon
Akbar tere seene se sina kaise nikaloon

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *