Noha

Aina ali akbara aina ali akbara aina ali akbara

Seene pe barchi khake gira hai kon sare maidan
Kheme ke dar pe chikh rahi hai kiski dukhiya maa
Kiska lasha dhundh rahe hai ran mai shahe jishan
Thokre kha kha kar kehte hai tum ho beta kahan
Aina ali akbara aina ali akbara aina ali akbara

Bhuke pyase ran ko gaye ho ai beta jab se
Dukhiya hai bechen tumhari khaime mai tab se
Aankhe bichaye dar pe khari hai socho to kab se
Hath uthakar jeene karti hai dua rabse
Aina ali akbara aina ali akbara aina ali akbara

Dekhke tum ko kar leta tha nana ka didar
Bad tumhare lamha bhar bhi jeena hua dushwar
Jane kiski nazar lagi hai kin aankho ka var
Chand se seene par barchi se kisne kiya hai var
Aina ali akbara aina ali akbara aina ali akbara

Lashe pisar pai koi to aake mujhko pauhchade
Chand si surat lakhte jigar ki aakar dikhlade
Bhuda baap akele kaise aakhri kandha de
Lash mere farzande jawa ki koi to uthwade
Aina ali akbara aina ali akbara aina ali akbara

Nohe me Shamshad hai tere dard ka wo manzar
Jinno malak insa hi nahi khud rone lage patthar
Iska silah mehshar tujhe bakhshe ali akbar
Mola ke is jumle par qurban ho behro bar
Aina ali akbara aina ali akbara aina ali akbara

2 replies on “Aina ali akbara aina ali akbara aina ali akbara”

Nohe me shamshad hai tere dard wo manzar
Jinno malak insa hi nahi khud rone lage patthar
Iska silah mehshar tujhe bakhshe ali akbar
Mola ki is jumle par qurban ho behro bar
Aina ali akbara

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *