Noha

Ai Rasool e Khuda Dekhye
Ek zara janib e Karbala dekhiyea

Kat gaya aap ka do-paher mein chaman
Khaakh par soo rahen hain Gareeb ul Watan
De rahi hai sada Karbala, Dekhiyea
Ai Rasool e Khuda Dekhye

Woh jo Akbar tha Shabbir ka laadla
Chand se uske seeney par naiza laga
Naujawani mein aaye qaza, dekhiyea
Ai Rasool e Khuda Dekhye

Bekhata aap ka Laal maara gaya
Kar ke mehmaan, qatra na paani diya
Kat gaya un sabhon ka gala, dekhiyea
Ai Rasool e Khuda Dekhye

Rone paye na Bhai ko apne Bahen
Bekhata bazoon mein bandhi hai rasan
Qaid mein jaye ga qafila, dekhiyea
Ai Rasool e Khuda Dekhye

Arsh e Azam se utra sitara jahan
Be ijazat malak bhi na aayen jahan
Kya ghazab woh ghar se gaya, dekhiyea
Ai Rasool e Khuda Dekhye

Rann mein Aun o Mohammad bhi maarey gaye
Aur Abbas e Ghaazi ke bazoo katey
Halq e Asghar pe nawak laga, dekhiyea
Ai Rasool e Khuda Dekhye

Laadli aap ki, Zainab e Khastatan
Uske bazoon mein bandhi gayi hai rasan
Chhin gaye uske sar se rida, dekhiyea
Ai Rasool e Khuda Dekhye

Zer e khanjar Nawasa raha Aapka
Pyaas mein kar diya shimr ne sar juda
Panjetan ka hua khatima, dekhiyea
Ai Rasool e Khuda Dekhye

Vaishi* aakhir likhey kis taraha haal e gham
Jo khata ho gaye …..

(Apologies for the incomplete nauha)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *