Noha

aey momino jis maah meiN maare gaEy Sarwar, uski hai yakum aaj
jis maah meiN sAr naNge phiriN Zainabe muztar, uski hai yakum aaj

mashkeezah Sakina ka liye naher pa aake, shaanoN ko kata ke
jis maah meiN maare gaEy Abbase dilaawar, uski hai yakum aaj

ba’ade rufaqaa qatl ke maidaan meiN aake,barchi ki ani se
jis maah meiN maare gaEy hamshakle Payambar, uski hai yakum aaj

jangaah meiN haathoN pa ShahEy hAr-do_sara ke, lUb khushk dikha ke
jis maah meiN besheer sidhaare suEy Kausar, uski hai yakum aaj

jis maah meiN sAr tAn se juda ho gaya shAhh ka, afsoas ki hai ja
jis maah meiN tAr khooN se hua Shimr ka khanjar, uski hai yakum aaj

sAr peeto mohibboN ke ShAhe kaun o makaaN ki, Sultaane ZamaaN ki
jis maah meiN paamaal hui laashe mutahar, uski hai yakum aaj

Zahra-wa Rasoole Madani, Haidere safdAr, aur hazrate Shappar
jis maah meiN be_chAin rahe qab ke andEr, uski hai yakum aaj

kyuN Fikr* Muharram mein bhi kya dil ko ho farhat, ek gona masarrat
jis maah meiN maiN jaauNga qabre ShAhhe deen par, uski hai yakum aaj

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *