Noha

Aap ko ai mere Maula ai mere Rehbar salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Kah rahen yeh dar-o-dewaar ro-ro kar salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Manzar-e-Qatle Hussain-ibne-Ali nazron mein hai
Kah rahe hai Taaziya uthne ka yeh manzar salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Yeh yawan kahtey hain ro-ro kar alam ko dekh kar
Ai mwre Abbas e Ghazi, Bazoo e Sarwar Salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Ghar luta, bachche chhute, Bhai chhute, Chadar chhini
Kah rahi hain auratey ai Zainab e Muztar salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Waqt e rukhsat rah gaye Bali Sakina quaid mein
Sab kaneezane Sakina kahtey hain ro kar salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Saal bhar zinda rahey to phir padhey ge alwida
Warna Maula hum kaheynge qabr mein rah kar salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Zindigi ka kya bharosa, kal rahen ya na rahen
Aayie Maula ko kar lein aaj dil bhar kar salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Aap ki khidmat na ho saki mere Imaam
Hum boohat nazim hain maula hum karen kyonkar salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Phir azakhane sajen ge aap ke gham mein Hussain
Hind mein phir aayeaga aye mere sarwar salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Jaa rahey hain mere ghar se mehmaan e Karbala
Kah rahey hain anjuman ke yeh sabhi mimber salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Zahiroon se ilteja hai jaa kar rauzey par kahey
Mere maula kah raha hai aap ka Safdar* Salaam
Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *