Noha

Ro Ke Kheme Me Zainab Pukaari
Ro Ke Kheme Me Zainab Pukaari
Aaj Mehndi Hai Qasim Tumhari
Ro Ke Kheme Me Zainab Pukaari
Aaj Mehndi Hai Qasim Tumhari

Jaon Sau Baar Main Tumpe Waari
Aaj Mehndi Hai Qasim Tumhari
Jaon Sau Baar Main Tumpe Waari
Aaj Mehndi Hai Qasim Tumhari

Lao Jaldi Se Dhoola Banaon
Teri Baraat Ko Main Sajaoon

Ro ke Khaimen mein Zainab pukari
Ro ke Khaimen mein Zainab pukari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Ro ke Khaimen mein Zainab pukari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari

Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari

Lao jaldi se dhoola banaon
Teri baraat ko main sajaoon
Lao jaldi se dhoola banaon
Teri baraat ko main sajaoon

Ghar mein baithi hai Dulhan bechari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari

Yeh bata wo kahan jaa rahe ho
Kiss liye dil ko tadpa rahe ho
Yeh bata wo kahan jaa rahe ho
Kiss liye dil ko tadpa rahe ho

Rok lo rok lo tum sawaari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari

Rang mehndi ka gahera racha hai
Haath mein dekho kangan bandha hai
Rang mehndi ka gahera racha hai
Haath mein dekho kangan bandha hai

Baat sun lo zara tum hamari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari

Aaj maanjhe baithane ka dil hai
Tumko dhoola banane ka din hai
Aaj maanjhe baithane ka dil hai
Tumko dhoola banane ka din hai

Bibiyaan raah taktin hai saari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Bibiyaan yaad kartin hain tumko
Apni soorat to dikhla do humko
Bibiyaan yaad kartin hain tumko
Apni soorat to dikhla do humko

Kah raha hai koi gham ki maari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari

Hoor o balma bhi aaye huey hain
Ba adab sar jhukayen huey hain
Hoor o balma bhi aaye huey hain
Ba adab sar jhukayen huey hain

Kisne gardan tumhari utari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Ro ke kahne laga zarra zarra
Aasman se lahu aaj barsa
Koi khaimey Se Bibi pukari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Aam daron se aaye khabar hai
Ai Aatiq Nausha Qasim Kidhar hai
Kaifiat kyon na ho dil pe taari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Jaon sau baar main tumpe waari
Aaj Mehndi hai Qasim tumhari
Ro Ke Kheme Me Zainab Pukaari
Aaj Mehndi Hai Qasim Tumhari

One comment(s) on “Aaj Mehndi Hai Qasim Tumhari”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *